Kumar Apartment : Season 2 – Part 52.1 (Bhawna Aur Akash Par Neetu Ka Shikanja)

Narrated by Neetu

Hello, main neetu, aaj ki kahani main apne taraf se bataungi aap logo ko. Aaj ki kahani ka eham hissa mere taraf se hi hai. Mere bare mein to aap logo ne jaan hi liya hoga. Shradha ke ghar Amit ke saat wali kissa to aapko yaad hi hoga.

Woh mere liye sharmnaak kissa tha. Kyu ki sex ke khel khelti hui main Amit ke samne ja phasi jo mere dewar ka dost nikla. Par pichle baar mein aaplogo ne ye bhi jaana ki main Bhawna ki nanand bhi hun.

Us episode mein aaplogo ne padha ke jab main Shradha ke ghar se apne ghar pahunchi to main Bhawna aur uske aaye relative Akash se mili. Lekin baat kuch aur thi mere mann mein jo aaj bataungi.

Jab main apne kamre se nahake nikli to living room mein ek handsome sa ladka baitha hua tha. Dikhne mein bura nahi, main sochi ki ye kaon hai, fir yaad aayi ki ye shayad Bhawna ka aaya hua relative Akash hoga aur main poochi: Akash?

Woh turant uth khada hua aur bola: Haan, hello.

Uski taraf se diye izzat ko dekh main muskura padi aur boli: Are baithona, khade kyu ho gaye?

Main kitchen ko gayi aur maa se poochi: Maa, woh mere room se hair oil li kya aapne?

Maa: Haan beta mere kamre mein hai, lelo.

Main kitchen se nikal kar maa ke kamre mein gayi. Meri tirchi nazar Akash par hi thi jo mujhe har pal ghoor raha tha. Main apni bathrobe mein thi jo itni bhi choti nahi ki ghoorne layak kuch ho. Fir bhi banda ghoor raha tha.

Jab main maa ke kamre se oil lekar apne room ko ja rahi thi tab bhi woh mujhe hi dekh raha tha. Main banawti muskaan de di aur apne room ko chali gayi. Room jakar sochne lagi ki ye to ek number ka tharki hai. Wayse hona to hai hi, Bhawna ka relative jo hai, tharki pariwaar ke tharki log.

Par haan ek baat to thi ki uska ayse mujhe dekhna mujhe pasand bhi aa rahi thi. Bhale woh Bhawna ka relative hai par hai to mard hi. Main apne kapde pehanne lagi. Ek pal ke liye sochi ki kuch mast si sexy kapde pehnu Akash ko lubhane ke liye. Par fir sochi ki aaj pahli baar mili to thodi normal kapde pehnu.

Ye soch main ek dheela payjama aur usse matching top pehankar room se bahar gayi. Woh to mano mujhe hi dekhe ja raha th. Maine firse ek muskaan dedi aur kitchen ko jakar apni chai lekar living room wapas gayi.

Waha Akash ke bagal wale sofe par baith main usse poochi: To Akash, kaysa laga tumhari Bhawna didi ka sasural?

Akash: Bohut badiya. Achcha ghar hai.

Main: Aur… aur hum?

Mere ayse poochne par woh thoda jhijka aur bola: Aap… aap to kafi achchi ho.

Ab zahir ho gayi thi ki uske mann mein mere akele ke vichaar chal rahe hai.

Main hass padi aur boli: Hahaha, main nahi, mera matlab Bhawna ke sasural wale.

Akash: Oh, haan bohut achche hai, unkle aunty sab kafi pyare hai.

Main: To is shahar kaam se aaye ho ya Bhawna se milne.

Ek pal ke liye woh kuch sochne laga mano soch kar jawaab de raha ho.

Aur fir bola: Kaam… kaam se. Mujhe job lagi hai yaha. Aur issi silsile mein aaya hun.

Uske ayse jawaab deti hi mujhe kuch jhoot si lagi aur main boli: Ok, kaha lagi, kiss company mein?

Akash: Patel textiles and fashion limited mein.

Main turant poochi: PTF? Seriously?

Mere ayse achanak se poochne se uske shakal pe ghabrahat ka rang chha gaya aur woh bola: Haan. Kyu?

Main: Tab to hamara milna chalta hi rahega ab.

Akash: Ku.. kyu?

Main: Hahaha! Uski malkin Neha Patel hai, jaante ho?

Akash: Haan, unhone hi mera interview liya.

Main: Woh meri friend hai aur ek jhatke ki baat bataun.

Akash: Haan kya?

Jab is baar usne jawaab diya to uske chehre par banawti khushi dikh rahi thi. Main use thoda aur darane ke liye aage boli: Woh issi apartment mein rahti hai, hahaha!

Akash chaokta hua bola: Oh, sachme, oh baba re.

Main uske chehre ka uda rang dekh hasti hui boli: Hahaha, Ghabrao mat. Tension mat lo woh apne office aur ghar ke bahar tumse kaam karne nahi bolegi, hahaha!

Wayse meri baat use theek se samajh nahi aayi, aaplog shayad Neha ko jaante nahi theek se. Woh aysi aurat hai jo mardo ko paaw tale gulaam bana ke kaam karwati hai apne office mein. Aur sirf office nahi apne ghar pe bhi.

Is Akash ko pata nahi iski kya haalat karne wali hai woh. Ye soch main mann hi mann muskura rahi thi.

Tab maa kitchen se aakar hamare bagal baith boli: Lagta hai dosti ho gayi tum dono ki.

Main tirchi nazro ke saat Akash ko dekhti hui chai peeti hui boli: Haan, waysa hi samajh lijiye.

Akash meri aysi nazar dekh turant baat palatte hue maa se bola: Bhawna di kya kaam pe lag gayi?

Maa: Haan beta, woh pyaaz wagayra kaat rahi hai. Mujhe kuch nahi karne de rahi. Usi liye main yaha aa gayi.

Main Akash ko mazaak mein chidaati hui boli: Haan haan aaj to apne bhai ko apne haato se bana ke khilana chahti hogi usi liye maa.

Woh ispar dheere se sofe se uthte hue bola: Main dekhta hun unhe koi help chahiye to.

Woh uthkar kitchen ko ja raha tha. Par meri nazar usi par thi. Woh bhi ye jaan raha tha ki main bhi use kafi dhyaan se dekh rahi hun. Uske kitchen pahunchne ke baad koi awaaz nahi aayi. Bhala ayse kayse ki bhai bahan bina baat kiye kitchen mein ho.

Zaroor kaana phusi chal rahi hai kuch to. Ye soch mein bachi hui chai jaldi se pee aur chai ki cup lekar dabe paaw kitchen ko gayi. Kitchen pahunchi to dekha ki Akash kuch zyada hi chipka hua hai Bhawna se. Bhawna pyaaz kaat rahi thi.

Par Akash ka ek haat Bhawna ke payjame ke upar se uski gand ko pakde hue tha. Tab ja kar mere mann mein is baat ka kida aa hi gayi ki ye Bhawna ka bhai ho hi nahi sakta. Iske aur Akash ka raaz to ab mujhe pakadni hi thi.

Main jhooti khaasi ki awaaz banayi unke peeche se aur woh dono chaok uthe. Akash turant apna haat hata liya par use ye nahi pata tha ki maine sab kuch dekh li hai. Main ander gayi aur chai ki cup sink mein dhoti hui boli: Didi aur bhai bade friendly lagte hai ek dusre ke saat.

Akash ke taraf se koi jawaab nahi aayi. Par Bhawna turant jawaab mein boli: Woh… woh to hai. Bachpan se hi hum sab saat mein khelte bade hue hai.

Main mann mein sochne lagi ki bachpan mein konsi khel khelti thi jisme uska bhai uski gand par haat pherta tha. Main mud kar unke taraf dekh aage boli: Mmmm… Par tumne kabhi iske bare mein batayi nahi, Bhawna.

Bhawna apne kaam mein lagi wyast dikha rahi thi khud ko. mano use mere chehre ke taraf dekhna hi nahi aur boli: Haan woh to hai… Ye meri shadi mein bhi nahi aa paya tha.

Woh mujhse nazar nahi mila ke baat kar rahi thi. Yahi kafi tha mujhe ye jaan ne ke liye ki woh kuch chupa rahi hai aur sach nahi bol rahi. Bhawna ke bolte hi Akash uske peeche peeche samarthan deta hua bola: Haan us waqt mera exam tha, diploma ka.

Bhale mujhe shak tha ki ye dono bhai bahan nahi hai. Par in dono ka taal mel kafi achcha ja raha tha, main aage boli: Hmmm… ok wayse…

Isse pahle ki main aage kuch poochti, maa ne mujhe living room se awaaz de di.

Maa: Kisi ka call aa raha hai tumhare phone pe. Shayad tumhare saans sasur honge. Yaha akar batayi kya ki tum pahunch gayi ho?

Main: Haan maa aati hun.

Main kitchen se jaati hui apni aankho ke kone se Akash ko hi ghoor rahi thi, maano main chetaawni de rahi hun usko. Main living se apni phone uthakar dekhi to ye mere saans ya sasur ki nahi thi, Shradha ki call thi. Main turant apne room gayi aur darwaza lock kar usse bat ki.

Main: Hello!

Shradha: Haan, ghar mein kisi ko pata nahi chalana kuch?

Main: Nahi nahi. Kuch nahi. Sab theek hai.

Shradha: Wayse maine tumse sorry kahne ke liye call ki yaar.

Main: Are, koi baat nahi.

Shradha: Sachchi mujhe nahi pata tha ki Amit tumhare dewar ka dost niklega.

Main: Hmmm… ab jane do. It’s ok. Woh wahi hai ya gaya?

Shradha: Haan chala gaya, tere jane ke baad Amit aur Payal bhi chale gaye.

Main: Hmmm… wayse tere se ek dusri baat karni thi.

Shradha: Haan batana.

Main: Woh… woh na mere yaha koi aaya hua hai.

Shradha: Kaon?

Main: Ek ladka hai, 23-24 ka hoga.

Shradha: Kaon hai, kaon hai?  Naughty girl, ghar mein murga rakh kar mere yaha khane aayi thi, mmmm!

Main: Are yaar, waysa nahi hai, woh Bhawna ka koi relation mein bhai hai.

Shradha: Oh, ok ok… sorry.

Main: Are sorry mat bol, tu poori baat to sunn.

Shradha: Ok bata.

Main: Mujhe na, thodi shak ho rahi hai uspar.

Shradha: Kya shak?

Main: Woh mujhe uska bhai nahi lag raha. Aur pata hai jab main ghar aayi thi to Bhawna mujhe dekh bilkul bhi khush nahi thi. Mano uske chehre ki rang udi hui thi.

Shradha: Ehh, aysa kyu?

Main: Are yaar, main bina bataaye aayina.

Shradha: Dekh mujhe teri baato mein koi dam nahi lag rahi. Tu khamakha ulti seedhi baate na soch.

Main: Achcha to ye bata, kaonsa bhai apni behan ki gand pe haat pherta hai?

Shradha: Kya?

Main: Haan, kuch der pahle jab main kitchen mein gayi to maine yahi dekha. Akash Bhawna ki gand par haat pher raha tha.

Shradha: Dekh shayad woh kuch aur kar raha tha to tum usi waqt waha gayi hogi aur tumhe aysa lag raha hai.

Main: Dekh Shradha, itna to mujhe bhi pata hai ki galti se haat lagna aur hat se pakad dabane mein kya antar hai, samjhi na.

Shradha: Ok wayse tumne Akash bola?

Main: Haan uska naam hai, kyu?

Shradha: Maine ye naam haal hi mein kahi suni thi.

Main: Kaha?

Shradha: Yaar, yaad nahi aa rahi.

Main: Tu kitno ke saat maze le rahi hai kameeni jo tujhe ab yaad bhi nahi aa rahi, hahaha!

Shradha: Chal hat. Par sachme maine ye naam kahi to suni, aur haal mein hi suni hai yaar, uff yaad nahi aa rahi.

Main: Apne dimaag se Amit ka lund nikal aur soch kar bata, stupid, hahaha!

Shradha: Tu ek kaam kar, us Akash ki ek photo bhej mujhe.

Main: Ab main kaha se uski photo bheju?

Shradha: Are yaar, itni badi jaasoos banti hai, chup kar ek photo nah nikal sakti kya uski?

Main: Hmmm, ok, ok, woh kar sakti hun.

Shradha: Haan to chal tu woh kar pahle uske baad apne dimaag mein ye sab kahani bunn.

Main: Ok ok. Tu ek 10 minute de. Main kayse bhi karke uska ek photo nikalke bhejti hun.

Itna kah kar main phone kaati aur sochne lagi ki Akash ki photo kayse nekalu. Ye soch mein room se bahar nikli. Jayse hi main apne room se nikli to kitchen mein khade Akash ke chehre par firse ghabrahat dikhne lagi.

Ho na ho, meri shak sahi thi, kuch to gadbad hai hi. Main kitchen ko gayi aur dekhi to Akash ab pyaaz kaat raha tha. Par uske kate pyaz ki haalat dekh saaf dikh raha tha ki woh ye sab kaam karta nahi.

Main: Are waah tum kitchen ka bhi kaam kar lete ho?

Akash: Aa.. Haan isme kya hai? Ghar pe to main hi karta hun.

Main peeche se uske kandhe par haat rakh boli: Pyaaz ki halat dekh ke to lag rahi hai ki tum pahli baar kar rahe ho, hahaha!

Akash: Are woh…

Turant Bhawna use tokti hui aage boli: Ayse hi dialog maar raha hai, ghar pe kuch nahi karta ye. Iski maa bata rahi thi mujhe.

Main apni haat se uski gand par cheeti kaat boli: Jhoote, hahaha!

Woh ekdam sa uchal pada. Shayad usne andar kuch pehna nahi tha usi liye meri tez naakhuno ki cheeti use kuch zyada hi zor se lag gayi. Par wahi mujhe ye maoka bhi bilkul sahi laga aur main boli: Chalo ek kaam karte hai Bhawna. Iski selfi lete hai kitchen ke kaam karte hue.

Akash ghabrata hua bola: Nahi nahi… mat lo. Kyu lena, kya zarurat?

Main apne payjame ke pocket se apni phone nikali aur dusre haat se uske kandhe ko pakad apne taraf kheech photo nikalne lagi. Jaldi se uski shakal saaf dikhne layak ek photo nikali

Main boli: Ab ye tumhari maa ko bhejke dikhayenge aur kahenge ki unke bete ko kitchen ke kaam bhi aate hai, hahaha!

Photo nikal kar main use apni baanho ke changul se chori aur fir uski gand par thap thapati hui boli: Nice pic Akash.

Bhawna hamare taraf dekh khadi thi. Uske chehre par hasi ki naamo nishaan nahi thi. Main usse poochi: Kuch help chahiye kya?

Bhawna: Nahi nahi, tu rahne de main kar lungi. Bas papa aa jaye chicken leke to fir bana lungi.

Main liye hue photo ko Shradha ko bhej rahi thi aur saat hi idhar Bhawna se boli: Are nahi, kahi tumhare bhai ko aysa na lage ki tere sasural mein sirf tere se hi kaam karwate hai, hahaha.

Bhawna: Nahi, use pata hai ki mujhe kitchen ke kaam karna pasand hai. Main to Akash ko bhi mana kar rahi thi. par woh maana nahi aur pyaaz utha liya apne haat.

Shradha ko photo bhej kar main wapas boli: So sweet, kaash tu apna ye bhai mujhe de deti.

Main apni baat khatm karti ki tabhi Shradha ka call aa gaya. Main Bhawna aur Akash ko sunati hui boli: Are yaar ye meri saans bhi na, firse call kar rahi hai, ek minute aati hun.

Main jaldi se apne room ko bhagi ye jaanne ke liye ki Akash ki sachchayi hai kya? Aur aap ko bhi pata chal jayegi kal sham 4.00 baje ke bad!

COMMENTS