Yaad rahegi wo toofani raat – Part 1

Mera naam Gayatri hai. Umar 28 saal hai. Meri shaadi ko 5 saal ho gaye hai. Meri 3 saal ki ek beti hai. Pati ek factory mein supervisor ka kaam karte hai. Sasural mein saas-sasur ke alawa ek devar aur ek nanad hai. Devar 24 saal ka, aur nanad 20 saal ki hai. Hum sab ek sath rehte hai.

Hum Bhopal se lagbhag 60 kilometer aage ek chhote se kasbe mein rehte hai. Ye ghatna aaj se ek saal pehle ki hai. Apni bachpan ki saheli ki shaadi ke silsile mein main apne pati Umesh ke sath Bhopal aayi hui thi. Door jana tha, isliye beti ko ghar par dada-dadi ke paas hi chhodh diya. Shaadi ghar ke paas Ram Leela maidan tha, wahi ho rahi thi.

Maine us din black net wali saree red backless blouse ke sath pehni hui thi. Kul mila kar main gazab ki item lag rahi thi. Ab itna hot lagne par log to dekhenge hi. Shaadi mein sab ki nazre mujh par tiki hui thi. Aate-jaate log bheed mein mujhe choone ki koshish kar rahe the. Meri saheli bhi bol rahi thi “Kya tunch maal ban kar aayi hai. Bach ke rahiyo koi uda na le jaye”.

Pati akele bore ho rahe to beech-beech mein main unke paas bhi chakkar laga leti. Main apni purani saheliyon ke sath khoob enjoy kar rahi thi. Jaimala ho gayi. Fir khaana khaane ke baad hum log intezaar kar rahe the fero ka, jo ki muhurat ke hisaab se 11:35 par hone the. Achanak mausam thoda badalne laga, aur thandi hawa chalne lagi.

Umesh ne kaha: Lagta barish ka mausam ho raha hai. Time se nikal lete hai, warna kahi fasa na jaye.

Maine ghadi par nazar daudayi to 11:00 baj rahe the. Mera mann nahi tha abhi jaane ka, par pati ke kehne ki wajah se main be-mann se chalne ko raazi ho gayi. Main apni saheli ke paas gayi, aur usse chalne ki ijazat maangi. Usne lakh koshish ki par maine kaha pati gussa karenge. Ye keh kar usse jaane ki ijazat li. Fir Uncle Aunty ko namaste karke hum waha se nikal liye.

Raaste mein bike par hawa thandi lag rahi thi, to main pati se kuch zyada zor se chipak kar baith gayi. Udhar baadal bhi tezi se garajne lage, aur kaale baadlon ne aasman ko gher liya. Mujhe yakeen tha ka raaste mein barish zaroor milegi. Abhi hum koi 10-12 kilometer door hi nikle honge, ki halki si boonda-bandi shuru ho gayi, jo ki dheere-dheere apni raftaar pakdane lagi.

Raasta bilkul sunsaan tha, aur tez barish ki wajah se ab chalna mushkil hone laga tha. Ab mujhe bhi chinta hone lagi thi, aur thoda darr bhi lagne laga tha. Tez barish ki wajah se bike chalana bhi mushkil ho raha tha, par sadak ke aas-paas koi rukne ki jagah nahi thi. To hum dheere-dheere aage badh rahe the.

Hamne socha koi makaan aayega to jagah dekh kar ruk jayenge. Kich der mein chalte-chalte barish ki wajah se bike bhi chalna band ho gayi. Pati ne ruk kar bike mein kayi kicks lagayi, par wo start nahi hui. Hum dono hi barish ke paani mein tar-batar ho gaye the.

Hamne dheere-dheere paidal hi aage badhna shuru kiya. Ittefaq se 100 meter ki doori par hame bada sa ghar dikhayi diya. Hum bike lekar us ghar ki taraf badh gaye. Main gate ko khol kar hum andar chale gaye. Andar light jal rahi thi, to hamne chain ki saans li, ki rukne ka intezam ho jayega.

Pati bike side mein laga kar ghar ka door knock karne chale gaye. Main wahi apne kapde sambhal rahi thi, jo ki andar tak barish se bheeg kar bilkul mere badan se chipak gaye the. Bheegne ki wajah se mujhe halki thand bhi lag rahi thi.

Pati ne darwaza khatkhataya to andar se ek aadmi nikla. Usse kuch baat karke mere pati wapas aaye, aur mujhe andar chalne ke liye kaha. Main unke sath unke room ke andar aa gayi. Us aadmi ne gate band kiya, aur hame sofe par baithne ke liye bol kar fir andar doosre room mein chala gaya. Waha se 1-2 aur aadmiyon ki awaaze aa rahi thi. Aisa lag raha tha jaise koi party chal rahi thi.

Room ke andar bhi kuch ajeeb si smell aa rahi thi. Jab wo aadmi andar gaya to awaaz aani band ho gayi. Hum dono bheege hue kapdon mein baithe hue us aadmi ke wapas aane ka intezaar karne lage. 4-5 minute baad wo aadmi wapas lauta to uske se sath 2 aur aadmi the.

Unme se ek aadmi ke hath mein sharaab ka glass tha. Hame samajhte der nahi lagi ki andar daaru ki party chal rahi thi. Jiski smell hame mehsoos ho rahi thi. Unke aane par hum dono hi khade ho gaye. Mere pati ne unhe bola-

Pati: Hum log shaadi se laut rahe the. Tez barish mein bike band ho gayi, to aapka makaan dikhayi diya to aa gaye. Barish ruk jayegi to hum chale jayenge.

Wo teeno aadmi ek-doosre ko dekh kar muskurane lage.

Fir unme se ek bola: Koi baat nahi, shaadi se aa rahe ho na. Aadhi party kar aaye hoge, baaki ki party yaha kar lena.

Mere pati bole: Hum log khaana khaa kar aaye hai.

Unme se ek bola: Koi baat nahi, aa kar hamare sath baith jao. Dil kare to kuch le lena. Kuch hamara dil karega to hum le lenge (Keh kar teeno zor se hass diye).

Mujhe ye ehsaas ho gaya tha ki hum galat jagah fass gaye the.

Pati bole: Nahi-nahi aap log apni party jaari rakhiye. Hum yahi theek hai.

Iske aage kya hua, wo aapko kahani ke agle part mein pata chalega. Isse aage ki kahani mein bahut se twist aane waale hai. Usme aapko maza zaroor aayega. Aapko ye story kaisi lagi apne review par zaroor de. Feedback zaroor de, kyunki isse hame honsla milega, aur agla part jald se jald leke aayenge. Kahani ko padhne ke liye aap sab readers ka bahut dhanyawad.

COMMENTS